Wednesday, September 12, 2012

EK SACCHI KAHANI.....

Kabhi kabhi apni ankho pe yakeen nhi aata hai...
Kaise koi jaan se pyara khud hi dil tod jata hai...

Aisi hi kahani mai aap sabko sunata hu...
Kaise bikhra kisi ka wajood ye aapko bata hu...

Ek ladka jisne apna sab kuchh bhoola diya apni mohabbat ke liye...
Uski mohabbat use chhod gyi kisi dusre ke liye,,,

ladka ladki ko khub ghumata tha...
Uski ek khwahish ke liye apni jaan tak lutata tha...

Kisi kaam me ladke ka man nhi lagta tha...
Har taraf use ladki ka ahsas hi thagta tha...

Ladki bhi uske pyar ka khoob fayda uthati thi...
Apne jhothe ansuo ko dikha kar ladke ko khoob rulati thi...

Na smjh uske is tamashe ko hi pyar smjh baitha tha...
Uske siva kisi aur ka nhi hoga har waqt yahi kahta tha...

Magar usko na pata tha ke kismat kya mod legi...
Jise wo jaan kahta hai wo kisi aur ke liye muh mod legi...

Akhir ladki ne use achanak bhool jane ko kah diya...
Jab wajah puchhi to bahana majboorio ka bna diya...

Kahne lagi ghar wale meri shadi kahi aur kar rahe hai...
Mujhe tumse dur jane ko majboor kar rahe hai...

Ladka bechara tootne sa laga,,,
uska rab par se bhrosa chhootne sa laga...

Ab to wo akela hi rah gya tha...
Ladki ke liye usne to apno ko bhi chhod diya tha...

Magar kisi ke smjhane pe wo ab bhi jee raha hai...
Magar andar hi andar gum ke ansu pee rha hai...

Mohabbat me sabka yahi haal hota hai...
Jitni gahri ho mohabbat dil utna rota hai...
@sourabh

No comments:

Post a Comment