Thursday, January 2, 2014

"Vidaai"

Jaan se bhi zyada tujhe pyar kiya hai maine...
Umr bhar isi din ka intzaar kiya hai maine....

Tu aaj ke din labo'n ki hansi kam na kar...
Meri gudiya! Aaj hargiz aankh nam na kar....

Khusiyo'n bhari ye raat, mubarak ho tujhe....
Naye jeewan ki shuru'aat, mubarak ho tujhe....

Tere baghair ab to ye ghar bhi paraaya hoga...
Ab is ghar mein bas teri yaad ka saaya hoga....

Maa-baap ye jeewan me ye din bhi aata hai....
Jigar ka tudka hi ek din door ho jata hai....

Naye rishton ki ye sauGaat mubarak ho tujhe....
Naye jeewan ki shuru'aat mubarak ho tujhe.....